Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_662242ef04e8aec5477a56d4a5c44de0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki - Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki

ek aalam ne jubba-sai ki

ai buto tum ne bhi KHudai ki

aashiqon ke lahu ki pyasi hain

machhliyan us kaf-e-hinai ki

zulf-e-pur-pech se jo dil uljha

bich mein raKH paDa safai ki

murgh-e-be-baal-o-par hun ai sayyaad

aarzu hai kisi rihai ki

ai junun dasht ko chalenge hum

hai qasam is barahna-pai ki

sar juda hum ne apna kar Dala

aai jab guftugu judai ki

phir gaya yar ghar ke pas aa kar

baKHt-e-bargashta ne burai ki

saikDon jame tujh pe phaTte hain

dhum hai teri mirzai ki

tujh se to hum ko ai KHam-e-abru

thi na ummid kaj-adai ki

koi qatil ki rah bhula tha

ai ajal tu ne rahnumai ki

dil kahin aur hum ne aTkaya

be-wafaon se bewafai ki

na gai zahidon ke pas kabhi

duKHtar-e-raz ne parsai ki

shahr mein jaegi meri pa-posh

qadr wan kya barahna-pai ki

saf hai aaina tan-e-pur-nur

hai dalil us pe KHud-numai ki

kasa-e-mah kyun na ho pur-nur

barson us kuche ki gadai ki

kaba-e-dil mein bhi maqam kiya

ai buto tum ne kya rasai ki

KHat ke aane pe bhi mukaddar hai

surat ab kaun si safai ki

baal-o-par bhi gae bahaar ke sath

ab to surat nahin rihai ki

kis ke kuche ki rah bhula hun

KHizr ne bhi na rahnumai ki

shah kahlae har tarah se 'wazir'

baadshahi na ki gadai ki

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki in PDF.