Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8ec168d4a0050c3a412ce27a6bf67265, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale - Khwaja Meer Dard Poetry In English - Darsaal

Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale

teri gali mein main na chalun aur saba chale

yun hi KHuda jo chahe to bande ki kya chale

kis ki ye mauj-e-husn hui jalwagar ki yun

dariya mein jo habab the aankhen chhupa chale

hum bhi jaras ki tarah to is qafile ke sath

nale jo kuchh bisat mein the so suna chale

kah baiThiyo na 'dard' ki ahl-e-wafa hun main

us bewafa ke aage jo zikr-e-wafa chale

(1365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale in PDF.