Samajhna Fahm Gar Kuchh Hai Tabii Se Ilahi Ko
samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko
shahadat ghaib ki KHatir to hazir hai gawahi ko
nahin mumkin ki hum se zulmat-e-imkan zail ho
chhuDa de aah koi kyun ke zangi se siyahi ko
ajab aalam hai idhar se hamein hasti satati hai
udhar se nesti aati hai dauDi uzr-KHwahi ko
na rah jawe kahin tu zahida mahrum rahmat se
gunahgaron mein samjha kariyo apni be-gunahi ko
na lazim nesti us ko na hasti hi zaruri hai
bayan kya kijiye ai 'dard' mumkin ki nanahi ko
(1135) Peoples Rate This