Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_51469241c926d3b152a1280aff291164, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justuju Hai - Khwaja Meer Dard Poetry In English - Darsaal

Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justuju Hai

mera ji hai jab tak teri justuju hai

zaban jab talak hai yahi guftugu hai

KHuda jaane kya hoga anjam is ka

main be-sabr itna hun wo tund-KHu hai

tamanna teri hai agar hai tamanna

teri aarzu hai agar aarzu hai

kiya sair sab hum ne gulzar-e-duniya

gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai

ghanimat hai ye did wa did-e-yaran

jahan aankh mund gai na main hun na tu hai

nazar mere dil ki paDi 'dard' kis par

jidhar dekhta hun wahi ru-ba-ru hai

(1892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justuju Hai In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justuju Hai is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justuju Hai for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justuju Hai in PDF.