Jag Mein Koi Na Tuk Hansa Hoga
jag mein koi na Tuk hansa hoga
ki na hanste mein ro diya hoga
un ne qasdan bhi mere nale ko
na suna hoga gar suna hoga
dekhiye ab ke gham se ji mera
na bachega bachega kya hoga
dil zamane ke hath se salim
koi hoga jo rah gaya hoga
haal mujh gham-zada ka jis tis ne
jab suna hoga ro diya hoga
dil ke phir zaKHm taza hote hain
kahin ghuncha koi khila hoga
yak-ba-yak nam le uTha mera
ji mein kya us ke aa gaya hoga
mere nalon pe koi duniya mein
bin kiye aah kam raha hoga
lekin us ko asar KHuda jaane
na hua hoga ya hua hoga
qatl se mere wo jo baz raha
kisi bad-KHwah ne kaha hoga
dil bhi ai 'dard' qatra-e-KHun tha
aansuon mein kahin gira hoga
(1523) Peoples Rate This