Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_af864fb48122ca673db14e6a0e048433, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chaman Mein Subh Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-e-tar Shabnam - Khwaja Meer Dard Poetry In English - Darsaal

Chaman Mein Subh Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-e-tar Shabnam

chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam

bahaar-e-bagh go yun hi rahi lekin kidhar shabnam

araq ki bund us ki zulf se ruKHsar par Tapki

tajjub ki hai jagah ye paDi KHurshid par shabnam

hamein to bagh tujh bin KHana-e-matam nazar aaya

idhar gul phaDte the jaib roti thi udhar shabnam

kare hai kuchh se kuchh tasir-e-sohbat saf tabaon ki

hui aatish se gul ki baiThte rashk-e-sharar shabnam

bhala Tuk subh hone do ise bhi dekh lewenge

kisi aashiq ke rone se nahin rakhti KHabar shabnam

nahin asbab kuchh lazim subuksaron ke uThne ko

gai uD dekhte apne baghair-az-baal-o-par shabnam

na paya jo gaya is bagh se hargiz suragh us ka

na palTi phir saba idhar na phir aai nazar shabnam

na samjha 'dard' hum ne bhed yan ki shadi o gham ka

sahar KHandan hai kyun roti hai kis ko yaad kar shabnam

(1736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Mein Subh Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-e-tar Shabnam In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Chaman Mein Subh Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-e-tar Shabnam is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Chaman Mein Subh Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-e-tar Shabnam for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Chaman Mein Subh Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-e-tar Shabnam in PDF.