Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_43f38184e7f2adcaf80cc49df6640fd1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum KHudai Ka Dawa To Karte Nahin - Khwaja Mahmood-ul-Hasan Poetry In English - Darsaal

Hum KHudai Ka Dawa To Karte Nahin

hum KHudai ka dawa to karte nahin

bandagi par bhi pure utarte nahin

yun to qaem hain iman pe apne magar

dil ke wahm-o-guman se mukarte nahin

juzw-e-haq hain nahin hum kisi ke mutia

KHud pe nazan hain baatil se Darte nahin

apni KHud-e'timadi ka aalam hai ye

TuT jaane pe bhi hum bikharte nahin

dil mein jab tak na ho ek kasak dard ki

aadamiyyat ke jauhar nikharte nahin

hai na duniya hi apni na apna KHuda

be-kasi ke ye din ab guzarte nahin

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum KHudai Ka Dawa To Karte Nahin In English By Famous Poet Khwaja Mahmood-ul-Hasan. Hum KHudai Ka Dawa To Karte Nahin is written by Khwaja Mahmood-ul-Hasan. Read famous Poem Hum KHudai Ka Dawa To Karte Nahin for youth and Student by Khwaja Mahmood-ul-Hasan. Free Download Hum KHudai Ka Dawa To Karte Nahin in PDF.