Jalwa-farma Der Tak Dil-bar Raha
jalwa-farma der tak dil-bar raha
apni kah li sab ne main shashdar raha
jism be-his be-shikan bistar raha
main nae andaz se muztar raha
main KHarab-e-baad-o-saghar raha
dil fida-e-saqi-e-kausar raha
main raha to bagh-e-hasti mein magar
be-nawa be-ashiyan be-par raha
sab chaman walon ne to luTi bahaar
aur mujhe sayyaad hi ka Dar raha
koi samjha rind koi muttaqi
lab pe tauba hath mein saghar raha
tham rahe aansu rahi dil mein jalan
nam rahin aankhen kaleja tar raha
umr bhar phirta raha main dar-ba-dar
mar ke bhi charcha mera ghar ghar raha
saikaDon fikren hain tum ko aaqilo
tum se to 'majzub' hi behtar raha
(449) Peoples Rate This