Har Chiz Mein Aks-e-ruKH-e-zeba Nazar Aaya
har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya
aalam mujhe sab jalwa hi jalwa nazar aaya
tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya
dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya
kin band jab aankhen to meri khul gain aankhen
kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya
jab mahr numayan hua sab chhup gae tare
tu mujh ko bhari bazm mein tanha nazar aaya
gardun ko bhi ab dekh ke hoti hai tasalli
ghurbat mein yahi ek shanasa nazar aaya
sab daulat-e-kaunain jo di ishq ke badle
is bhao ye sauda mujhe sasta nazar aaya
nakaam hi ta-umr raha talib-e-didar
har jalwa tera baad ko parda nazar aaya
jo dur nigahon se sar-e-arsh-e-barin hai
wo nur sar-e-gumbad-e-KHazra nazar aaya
majzub' kabhi soz kabhi saz hai tujh mein
tu 'mir' kabhi aur kabhi 'sauda' nazar aaya
majzub' ke jazbe ki jo samjhe na haqiqat
un aql ke andhon ko ye sauda nazar aaya
(538) Peoples Rate This