Ada-shanas Tera Be-zaban Nahin Hota
ada-shanas tera be-zaban nahin hota
kahe wo kis se koi nukta-dan nahin hota
sab ek rang mein hain mai-kade ke KHurd o kalan
yahan tafawut-e-pir-o-jawan nahin hota
qimar-e-ishq mein sab kuchh ganwa diya main ne
umid-e-nafa mein KHauf-e-ziyan nahin hota
sahm raha hun main ai ahl-e-qabr batla do
zamin tale to koi aasman nahin hota
wo mohtasib ho ki waiz wo falsafi ho ki shaiKH
kisi se band tera raaz-dan nahin hota
wo sab ke samne is sadgi se baiThe hain
ki dil churane ka un par guman nahin hota
jo aap chahen ki le len kisi ka muft mein dil
to ye muamla yun mehrban nahin hota
jahan fareb ho 'majzub' ye teri surat
buton ke ishq ka tujh par guman nahin hota
(338) Peoples Rate This