Har Gosha-e-alam Mein Zamane Ki Sada Hun
har gosha-e-alam mein zamane ki sada hun
main waqt pe chalta hua naqsh-e-kaf-e-pa hun
ai dasht-e-taKHayyul teri KHamosh nawa hun
main naqsh-e-haqiqat hun magar KHwab-numa hun
ek aalam-e-duniya hai meri zat ke andar
main aag bhi miTTi bhi hun pani hun hawa hun
do laKHt hua hun main teri jalwagari se
aisi hai chakachaund ki sae se juda hun
din bhar ki 'atash' dhup ko daman mein sameTe
main sham ke suraj ki tarah Dub raha hun
(381) Peoples Rate This