Abr Chhaya Na Koi Abr Barasta Guzra
abr chhaya na koi abr barasta guzra
ab ke sawan bhi kaDi dhup mein jalta guzra
ya sar-e-rah kabhi TuT ke tare barse
ya kisi chand ka bujhta hua saya guzra
hum jalate rahe har-gam mohabbat ke charagh
wo rah-o-rasm ki har shama bujhata guzra
hum guzar jate hain har dur se aise jaise
ek aansu kisi jhurri se Dhalakta guzra
sochta hun ki badalne paDe kitne chehre
zindagi guzri hai apni ki tamasha guzra
jada-e-umr 'atash' panw ki gardish Thahri
dasht simTa na kabhi daman-e-sahra guzra
(415) Peoples Rate This