Bujhaen Pyas Kahan Ja Ke Tere Mastane
bujhaen pyas kahan ja ke tere mastane
jo saqiya dar-e-mai-KHana tu na baz kare
nahin wo lazzat-e-azar-e-ishq se aagah
sitam mein aur karam mein jo imtiyaz kare
unhin ke husn se hai garm ishq ka bazar
dua KHuda se hai umr-e-butan daraaz kare
KHuda ka nam bhi lo bazuon se kaam bhi lo
tu fikr-e-kar-e-KHudawand-e-kar-saz kare
hawa-o-hirs se 'nazir' rahe jo pak nazar
to ham-sari na haqiqat ki kyun majaz kare
(383) Peoples Rate This