Ye Tum Har Baat Lafzon Ki Zabani Kyun Samajhte Ho
ye tum har baat lafzon ki zabani kyun samajhte ho
sukut-e-lab ko aaKHir be-maani kyun samajhte ho
ye mumkin hai yahin tak ho tumhaari tab-e-binai
nazar ki had ko aaKHir be-karani kyun samajhte ho
agar sach hai tumhaari maut ka ek din muayyan hai
to phir is tai-shuda ko na-gahani kyun samajhte ho
yaqin rakkho samundar ki saKHawat par yaqin rakkho
hamesha KHali hath aaega pani kyun samajhte ho
ye mumkin hai tumhaara aks hi barham ho chehre se
ise tum aaine ki sargirani kyun samajhte ho
mere ashaar mein jo dard ki shiddat hai meri hai
mere ehsas ko apni kahani kyun samajhte ho
yahan zahir ka chehra muKHtalif hota hai baatin se
khili rangat ko dil ki shadmani kyun samajhte ho
(423) Peoples Rate This