Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_69410a8f3a885e01c5f973fb79250f90, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sada-e-dil Na Kahin DhaDkanon Mein Gum Ho Jae - Khushbir Singh Shaad Poetry In English - Darsaal

Sada-e-dil Na Kahin DhaDkanon Mein Gum Ho Jae

sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae

ye qafila na kahin raston mein gum ho jae

ye dil ka dard jo aankhon mein aa gaya hai meri

main chahta tha mere qahqahon mein gum ho jae

tujhe KHabar bhi hai ye be-hison ki basti hai

teri sada na kahin pattharon mein gum ho jae

main KHud ko DhunDhne nikla to kho gaya jaise

nikal ke ghar se koi raston mein gum ho jae

na jaane aaj hai taron ko kyun ye andesha

ye raat bhi na kahin jugnuon mein gum ho jae

main bar-ha teri yaadon mein is tarah khoya

ki jaise koi nadi jangalon mein gum ho jae

chaman se kyun na shikayat ho 'shad' rangon ko

har ek phul agar KHushbuon mein gum ho jae

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sada-e-dil Na Kahin DhaDkanon Mein Gum Ho Jae In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Sada-e-dil Na Kahin DhaDkanon Mein Gum Ho Jae is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Sada-e-dil Na Kahin DhaDkanon Mein Gum Ho Jae for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Sada-e-dil Na Kahin DhaDkanon Mein Gum Ho Jae in PDF.