Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cac146787cefcda28be6b8ea77a0b18e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Roz Dil Mein Hasraton Ko Jalta Bujhta Dekh Kar - Khushbir Singh Shaad Poetry In English - Darsaal

Roz Dil Mein Hasraton Ko Jalta Bujhta Dekh Kar

roz dil mein hasraton ko jalta bujhta dekh kar

thak chuka hun zindagi ka ye rawayya dekh kar

reza reza kar diya jis ne mere ehsas ko

kis qadar hairan hai wo mujh ko yakja dekh kar

kya yahi mahdud paikar hi haqiqat hai meri

sochta hun din Dhale ab apna saya dekh kar

kuchh talab mein bhi izafa karti hain mahrumiyan

pyas ka ehsas baDh jata hai sahra dekh kar

mere KHwabon par bhi us ne nam apna likh liya

ab bhi kyun KHamosh hun main ye tamasha dekh kar

sach to ye hai sab ko apni jaan pyari hai yahan

uD gae sare parinde peD kaTta dekh kar

'shad' jaane ji rahe ho kaun si duniya mein tum

duniya duniya kar rahe ho ab bhi duniya dekh kar

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz Dil Mein Hasraton Ko Jalta Bujhta Dekh Kar In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Roz Dil Mein Hasraton Ko Jalta Bujhta Dekh Kar is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Roz Dil Mein Hasraton Ko Jalta Bujhta Dekh Kar for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Roz Dil Mein Hasraton Ko Jalta Bujhta Dekh Kar in PDF.