Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc36f3ed31f17229a81d3ee202279a10, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Parinde Be-KHabar The Sab Panahen KaT Chuki Hain - Khushbir Singh Shaad Poetry In English - Darsaal

Parinde Be-KHabar The Sab Panahen KaT Chuki Hain

parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain

safar se lauT kar dekha ki shaKHen kaT chuki hain

laraz jata hun ab to ek jhonke se bhi aksar

main wo KHema hun jis ki sab tanaben kaT chuki hain

bahut be-rabt rahne ka ye KHamyaza hai shayad

ki manzil samne hai aur rahen kaT chuki hain

hamein tanhai ke mausam ki aadat paD chuki hai

ki is mausam mein ab to kitni raaten kaT chuki hain

nae manzar ke KHwabon se bhi Dar lagta hai un ko

purane manzaron se jin ki aankhen kaT chuki hain

(356) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Parinde Be-KHabar The Sab Panahen KaT Chuki Hain In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Parinde Be-KHabar The Sab Panahen KaT Chuki Hain is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Parinde Be-KHabar The Sab Panahen KaT Chuki Hain for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Parinde Be-KHabar The Sab Panahen KaT Chuki Hain in PDF.