Main Apne Ru-ba-ru Hun Aur Kuchh Hairat-zada Hun Main
main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main
na jaane aks hun chehra hun ya phir aaina hun main
meri majburiyan dekho ki yakjai ke paikar mein
kisi bikhre hue ehsas mein simTa hua hun main
mere andar ke mausam hi mujhe tamir karte hain
kabhi sairab hota hun kabhi sahra-numa hun main
jo hai wo kyun hai aaKHir jo nahin hai kyun nahin hai wo
isi gutthi ko suljhane hi mein uljha hua hun main
ye baat ab kaise samjhaun main in masum jharnon ko
guzar kar kin marahil se samundar se mila hun main
tabhi to 'shad' main hun mo'tabar apni nigahon mein
manazir ko baDi sanjidgi se sochta hun main
(338) Peoples Rate This