Jo Shab Ko Manzar-e-shab Tab Mein Tabdil Karte Hain
jo shab ko manzar-e-shab tab mein tabdil karte hain
wo lamhe nind ko bhi KHwab mein tabdil karte hain
jo aansu dard ki gahraiyon mein Dub jate hain
wahi aankhon ko bhi girdab mein tabdil karte hain
kisi jugnu ko hum jab raat ki zinat banate hain
zara si raushni mahtab mein tabdil karte hain
agar mil kar baras jaen yahi bikhre hue baadal
to phir sahraon ko sailab mein tabdil karte hain
jo mumkin ho to un bhule hue lamhat se bachna
jo aksar KHun ko zahrab mein tabdil karte hain
yahi qatre banate hain kabhi to ghas par moti
kabhi shabnam ko ye simab mein tabdil karte hain
kahin dekhi nahin ai 'shad' hum ne aisi KHush-haali
chalo is mulk ko punjab mein tabdil karte hain
(386) Peoples Rate This