Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3e0bcfee1bb5ade1987c76a156916210, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Intishaar Ka Koi Asar Bhi Hai Ki Nahin - Khushbir Singh Shaad Poetry In English - Darsaal

Is Intishaar Ka Koi Asar Bhi Hai Ki Nahin

is intishaar ka koi asar bhi hai ki nahin

tujhe zawal ki apne KHabar bhi hai ki nahin

kahin fareb na deti hon mil ke kuchh maujen

jahan tu Dub raha hai bhanwar bhi hai ki nahin

yaqin karne se pahle pata laga to sahi

ki tere dil ki sada mo'tabar bhi hai ki nahin

ye roz apne taaqub mein dar-ba-dar phirna

bata masafat-e-hasti safar bhi hai ki nahin

kabhi tu apne KHazine uchhaal sahil par

kisi sadaf mein ye dekhen guhar bhi hai ki nahin

main jis ki shaKH pe chhoD aaya aashiyan apna

ye sochta hun ki ab wo shajar bhi hai ki nahin

hawa se le to liya Dher sukhe patton ka

na jaane rakh mein meri sharar bhi hai ki nahin

main jis ke chaak pe rakkha hun 'shad' Dhalne ko

mujhe to shak hai ki wo kuza-gar bhi hai ki nahin

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Intishaar Ka Koi Asar Bhi Hai Ki Nahin In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Is Intishaar Ka Koi Asar Bhi Hai Ki Nahin is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Is Intishaar Ka Koi Asar Bhi Hai Ki Nahin for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Is Intishaar Ka Koi Asar Bhi Hai Ki Nahin in PDF.