Chashm-e-hairat Sare Manzar Ek Jaise Ho Gae
chashm-e-hairat sare manzar ek jaise ho gae
dekh le sahra samundar ek jaise ho gae
jagti aankhon ko meri bar-ha dhoka hua
KHwab aur tabir aksar ek jaise ho gae
waqt ne har ek chehra ek jaisa kar diya
aarzu ke sare paikar ek jaise ho gae
jab se hum ko Thokaren khane ki aadat ho gai
raston ke sare patthar ek jaise ho gae
dida-e-tar ki kahani ab mukammal ho gai
dard sab ashkon mein ghul kar ek jaise ho gae
'shad' itni baDh gai hain mere dil ki wahshaten
ab junun mein dasht aur ghar ek jaise ho gae
(371) Peoples Rate This