Raat Bhi Hai Kuchh Suni Suni Din Bhi Kuchh Viran Sa Hai
raat bhi hai kuchh suni suni din bhi kuchh viran sa hai
phul bhi hain kuchh sahme sahme bagh bhi kuchh hairan sa hai
qarya qarya auj pe sar hain nok-e-sinan sarsabz si hai
KHanjar jhamken lal se goya gardan par ehsan sa hai
daen baen aage pichhe patthar ki diwaren hain
kis se kahiye aur kya kahiye jo bhi kahe nadan sa hai
din se jo bhi raat mili hai girya ki diwar si hai
raat se jo bhi din paya hai nuh ka ek tufan sa hai
jis ko dekho aisa qatil chullu se jo KHun piye
jis ko dekho aisa sada jaise bas anjaan sa hai
leTe baiThe chupke chupke chaTte rahna zaKHmon ko
ranj ka kuchh izhaar nahin hai lutf ka ye saman sa hai
basti basti aag lage aur galiyon galiyon KHun bahe
qudrat ka ye khel nahin hai qudrat ka farman sa hai
(357) Peoples Rate This