Meri Nazar Mein Dosto Jis Shahr Ke Gulzar Hain
meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain
sabza baDa sarkash hai wan aur sard KHush-raftar hain
shaKHen hain wan aarasta aur gul hain wan nau-KHasta
pyale hain jin ke madh-bhare aur pairahan zar-kar hain
har har qadam par KHub-ru aaram-e-jaan aur kaam-ju
aankhon mein ghunchon ki chaTak chehre ghazab gulnar hain
jitne ye kam-amez hain itne hi shauq-angez hain
zahir mein jitne saKHt hain itne hi kam-azar hain
un ki nigah ka saiqa karta hai kar-e-laiqa
chakkhen jo us ka zaiqa saton samundar par hain
harf-e-ghalat din-e-kuhan sare hijabaat-e-badan
aazad hain sab mard-o-zan sab aadmi sab yar hain
jage hue hain mai-kade har kufr-o-iman se pare
bikhri hui tasbih hai TuTe hue zunnar hain
(464) Peoples Rate This