Tamasha Rahguzar-dar-rahguzar Afsos Ka Hai
tamasha rahguzar-dar-rahguzar afsos ka hai
bhale hi KHush hain sab lekin safar afsos ka hai
bahishti bagh ki sab titliyan hain par-burida
shikasta rang ta-hadd-e-nazar afsos ka hai
abhi itra rahe hain ssakinan-e-qasr-shahi
abhi aankhon se un ke mahw ghar afsos ka hai
haweli ab kahan jo qahqahon se gunjti thi
jahan tak dekhta hun main khanDar afsos ka hai
kahan mumkin tere ishrat-kade mein sham kaTen
abhi to samna har gam par afsos ka hai
azizo aao ab ek al-widai jashn kar len
ki is ke baad ek lamba safar afsos ka hai
(452) Peoples Rate This