Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka
na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka
ki main hun bulbule ki shakl mein ehsas pani ka
mohabbat mein teri apni zaban ko si liya main ne
asar zail na ho jae teri jadu-bayani ka
ajab kya hai jo meri dastan-e-KHun-chakan se bhi
koi pahlu nikal aae kisi ki shadmani ka
main apne panw ki zanjir ek din KHud hi kaTunga
hadaf banna nahin mujh ko kisi ki mehrbani ka
tumhaare samne aaun tumhein apni safai dun
sabab malum ho tab na tumhaari bad-gumani ka
mera sina hazaron chiKHti ruhon ka maskan hai
wasila hun main gungi hasraton ki tarjumani ka
hamara ahd bhi likkhe alif-laila ke jaisa kuchh
badalna chahiye ab rang kuchh qissa-kahani ka
nahin tere liye ye do minute ki chup nahin kafi
tera gham mustahiq hai umr bhi ki nauha-KHwani ka
meri taid mein bhi ab kisi ka honT to kanpe
koi to dard banTe aae meri be-zabani ka
(325) Peoples Rate This