Kahan Kisi Ka Banaya Hua Banate Hain
kahan kisi ka banaya hua banate hain
naya banate hain jab hum naya banate hain
kisi ka naqsh banate hain lauh-e-dil par hum
kisi ka aks sar-e-aina banate hain
naya banane ki hasrat kabhi nahin marti
nae sire se nae ko naya banate hain
main ek zamin hun amn-o-aman ki mutlashi
mere aziz mujhe karbala banate hain
hamari dasht-nawardi ko gumrahi na samajh
bhaTakne wale naya rasta banate hain
kahin bhi jaen kisi shahr mein sukunat ho
hum apni tarz ki aab o hawa banate hain
zaminen tang hui ja rahi hain dil ki tarah
hum ab makan nahin maqbara banate hain
talab jo log qanaat-pasand hote hain
wo zindagi ko kahan masala banate hain
(425) Peoples Rate This