BaDa Ajib Tha Us Ka Widaa Hona Bhi
baDa ajib tha us ka widaa hona bhi
na ho saka mera us se lipaT ke rona bhi
fasilen chhune lagi hain ab aasmanon ko
ajab hai ek dariche ka band hona bhi
na koi KHwab hai aankhon mein ab na bedari
tere sabab tha mera jagna bhi sona bhi
tere faqir ko itni si ja bhi kafi hai
jo tere dil mein nikal aae ek kona bhi
ye kam nahin jo mayassar hai zindagi se mujhe
kabhi-kabhaar ka hansna udas hona bhi
tera guzarna hamwar raston se hamein
hamare panw mein kanTe kabhi chubhona bhi
chala gaya koi aankhon mein gard uData hua
na kaam aaya koi ToTka na Tona bhi
'talab' baDi hi aziyyat ka kaam hota hai
bikharte TuTte rishton ka bojh Dhona bhi
(326) Peoples Rate This