Jab Apne-ap Ko Malbus Mein Chhupaya Tha
jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha
tamam shahr ko hum ne barahana paya tha
na apni subh ki KHushiyan na apni sham ka gham
hamare pas to jo kuchh tha wo paraya tha
talash karti hai jis ko tumhaari rahguzar
wo main nahin tha meri justuju ka saya tha
wo hans raha tha magar ashk-e-gham na rok saka
zara si baat pe jis ne hamein rulaya tha
ajib moD tha tark-e-talluqat ka wo
jab apne-ap se hum ne fareb khaya tha
dhuan dhuan thi faza gard gard tha manzar
dhundlaka sham ka jis din sahar pe chhaya tha
(387) Peoples Rate This