Bas Ye Hua Ki Rishton Ke Sab Hath KaT Gae
bas ye hua ki rishton ke sab hath kaT gae
hum log apne-ap hi aapas mein baT gae
aasar-e-mumkinat the jitne wo ghaT gae
suraj nikal ke aaya to kohre bhi chhaT gae
ye buz-dili thi apni ki kuchh bhi nahin kaha
hone diya jo hona tha raste se haT gae
un se to ja ke milna bhi dushwar ho gaya
masrufiyat ke nam pe hum bhi simaT gae
hum kya kahen ki kaise himaqat ye ho gai
jo tha sabaq bhulane ka us ko bhi raT gae
diwar-o-dar se ab bhi rifaqat wahi rahi
tanhaiyon mein aae to un se lipaT gae
'KHurshid' us pe sochiye kis ka qusur hai
aasudgi ke lamhe bhi aa kar palaT gae
(427) Peoples Rate This