Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_04efadc50744c7fd0b2303724d27c9b1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Firaq Mein Jo Aankh Se Rawan Hua Hai - Khurshid Rabbani Poetry In English - Darsaal

Tere Firaq Mein Jo Aankh Se Rawan Hua Hai

tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai

wo ashk-e-KHun hi mere gham ka tarjuman hua hai

hai jaane kya pas-e-diwar aaina jis par

yaqin kar ke bhi dil waqf-e-sad-guman hua hai

burida shaKH-e-shajar ka shikasta patton ka

tere siwa bhi koi mauja-e-KHizan hua hai

zara si der ko us ne palaT ke dekha tha

zara si baat ka charcha kahan kahan hua hai

bichhaD ke tujh se tha 'KHurshid' ka Thikana kya

KHusha-nasib shab-e-gham ka aastan hua hai

(518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Firaq Mein Jo Aankh Se Rawan Hua Hai In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Tere Firaq Mein Jo Aankh Se Rawan Hua Hai is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Tere Firaq Mein Jo Aankh Se Rawan Hua Hai for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Tere Firaq Mein Jo Aankh Se Rawan Hua Hai in PDF.