Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ft4rolc12o59oekol530pfgna0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Salib-e-dard Pe Wara Gaya Tha Kyun Mujhko - Khurshid Rabbani Poetry In English - Darsaal

Salib-e-dard Pe Wara Gaya Tha Kyun Mujhko

salib-e-dard pe wara gaya tha kyun mujh ko

gham-e-firaq se mara gaya tha kyun mujh ko

kisi KHayal kisi KHwab ke jazire par

tamam umr guzara gaya tha kyun mujh ko

palaT raha tha dar-e-KHwab se jo KHali hath

to bar bar pukara gaya tha kyun mujh ko

kaf-e-guman se jo girna tha umr bhar ke liye

to ek pal ko saraha gaya tha kyun mujh ko

agar nahin tha yahan koi muntazir mera

to phir falak se utara gaya tha kyun mujh ko

kisi ne meri taraf dekhna na tha 'KHurshid'

to be-sabab hi sanwara gaya tha kyun mujh ko

(455) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Salib-e-dard Pe Wara Gaya Tha Kyun Mujhko In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Salib-e-dard Pe Wara Gaya Tha Kyun Mujhko is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Salib-e-dard Pe Wara Gaya Tha Kyun Mujhko for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Salib-e-dard Pe Wara Gaya Tha Kyun Mujhko in PDF.