Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3fb340316c503117be45f5d37f22d890, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Nasib Ka Hai Ya Sitara KHwab Ka Hai - Khurshid Rabbani Poetry In English - Darsaal

Mere Nasib Ka Hai Ya Sitara KHwab Ka Hai

mere nasib ka hai ya sitara KHwab ka hai

safar ke bab mein lekin sahaara KHwab ka hai

tere KHayal ka sahra ubur karne mein

hai nafa dard ka lekin KHasara KHwab ka hai

jale-bujhe hue KHeme ki rakh mein jis ko

sitare DhunDte hain wo sharara KHwab ka hai

KHuda kare ki khule ek din zamane par

meri kahani mein jo istiara KHwab ka hai

baras raha hai zamin-e-suKHan pe jo 'KHurshid'

kisi malal ka ya abr-para KHwab ka hai

(461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Nasib Ka Hai Ya Sitara KHwab Ka Hai In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Mere Nasib Ka Hai Ya Sitara KHwab Ka Hai is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Mere Nasib Ka Hai Ya Sitara KHwab Ka Hai for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Mere Nasib Ka Hai Ya Sitara KHwab Ka Hai in PDF.