Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_27f0e953d54e8c89a0502f3752dd7744, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Gulab Kabhi Us Ka Dil Dukhaya Tha - Khurshid Rabbani Poetry In English - Darsaal

Koi Gulab Kabhi Us Ka Dil Dukhaya Tha

koi gulab kabhi us ka dil dukhaya tha

so regzar pe bhi wahshaton ka saya tha

utar ke shaKH se ek ek zard patte ne

nai ruton ke liye rasta banaya tha

wo shaKH-e-saya-e-iKHlas kaT gai ek roz

tapish se jis ne mujhe umr bhar bachaya tha

shajar shajar ko nishana banane walo tumhein

KHayal bhi na kisi ghonsle ka aaya tha

kisi KHayal kisi KHwab ke liye 'KHurshid'

diya dariche mein rakkha tha dil jalaya tha

(617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Gulab Kabhi Us Ka Dil Dukhaya Tha In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Koi Gulab Kabhi Us Ka Dil Dukhaya Tha is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Koi Gulab Kabhi Us Ka Dil Dukhaya Tha for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Koi Gulab Kabhi Us Ka Dil Dukhaya Tha in PDF.