Jab Usne Nahin Dekha Jab Usko Nahin Bhai
jab us ne nahin dekha jab us ko nahin bhai
kis kaam ki aaraish kis kaam ki zebai
ye kar-e-mohabbat bhi kya kar-e-mohabbat hai
ek harf-e-tamanna hai aur us ki pazirai
ek pal ki masafat thi is dil se tere dil tak
is rah mein bhi lekin ek umr bita aai
jab koi use dekhe bas dekhta rah jae
ye husn ki KHubi hai ye husn ki yaktai
ye mauj-e-hawa yunhi itraati nahin phirti
us phul se mil aai KHushbu bhi chura lai
ek zard sa patta tha jab shaKH se bichhDa tha
main rah mein bikhra tha jab mauj-e-hawa aai
(505) Peoples Rate This