Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef0095cfc1b8d342c206efe3c87ffc6c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Se Is Shahr-e-be-makan Mein Hun - Khurshid Rabbani Poetry In English - Darsaal

Jab Se Is Shahr-e-be-makan Mein Hun

jab se is shahr-e-be-makan mein hun

main tere ism ki aman mein hun

gumbad-e-sher mein jo gunjti hai

main usi dard ki azan mein hun

main ne tanhaiyon ko pa liya hai

is liye KHwab hi ke dhyan mein hun

titliyan rang chunti rahti hain

aur main KHushbuon ki kan mein hun

wahshaten ishq aur majburi

kya kisi KHas imtihan mein hun

KHwahishen saya saya bikhri hain

aur main dhup ke makan mein hun

main hun paikan-e-dard ai 'KHurshid'

aur ek yaad ki kaman mein hun

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Is Shahr-e-be-makan Mein Hun In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Jab Se Is Shahr-e-be-makan Mein Hun is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Jab Se Is Shahr-e-be-makan Mein Hun for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Jab Se Is Shahr-e-be-makan Mein Hun in PDF.