Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4402c4f462567af4feea6682f4592894, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sunsan Raston Pe Teri Yaad Ne Kaha - Khurshid Ahmad Jami Poetry In English - Darsaal

Sunsan Raston Pe Teri Yaad Ne Kaha

sunsan raston pe teri yaad ne kaha

haalat ka fareb bhi kitna hasin tha

ab ke bhi dard-mand bahaaron ne ja-ba-ja

phulon ki taKHtiyon pe tera nam likh diya

raat ek ajnabi ki tarah ghumti rahi

din ek falsafi ki tarah sochta raha

har tirgi ne mujh se ujalon ki baat ki

har zahar ittifaq se tiryak bin gaya

chamka rahi hai gham ke andheron ko dur tak

kirnon ki siDhiyon se utarti hui sada

yun dal ke aas pas hai KHwabon ki raushni

jaise kisi gali mein daricha ho nim wa

'jami' jo zindagi se ziyaada aziz the

in ko bhi zindagi ki tarah bhulna paDa

(393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sunsan Raston Pe Teri Yaad Ne Kaha In English By Famous Poet Khurshid Ahmad Jami. Sunsan Raston Pe Teri Yaad Ne Kaha is written by Khurshid Ahmad Jami. Read famous Poem Sunsan Raston Pe Teri Yaad Ne Kaha for youth and Student by Khurshid Ahmad Jami. Free Download Sunsan Raston Pe Teri Yaad Ne Kaha in PDF.