Mear-e-suKHan Hun Na Koi Azmat-e-fan Hun
mear-e-suKHan hun na koi azmat-e-fan hun
baDhte hue pathraw mein shishe ka badan hun
is tarah mujhe dekh raha hai koi jaise
main dur ke jalte hue KHwabon ki thakan hun
sau bar andheron ne jise qatl kiya hai
taKHliq ke mathe ki wahi ek kiran hun
aawaz-e-anal-haq ki tarah sath hi tere
ek umr se ai silsila-e-dar-o-rasan hun
zaKHmon ke jharoke mein koi shama jala kar
kahta hai main kuchh aur nahin dard-e-watan hun
hain jis ke liye aaj nae lafz-o-maani
tariKH ka wo nashsha-e-sahba-e-kuhan hun
sahra ka sulagta hua ehsas hun 'jami'
zarron ki tarah dahr mein bikhra hua tan hun
(401) Peoples Rate This