Kyun Chand Ko Samjhe Koi Paigham Kisi Ka
kyun chand ko samjhe koi paigham kisi ka
sahra ki kaDi dhup bhi hai nam kisi ka
TuTi hui ek qabr ke katbe pe likha tha
ye chain kisi ka hai ye aaram kisi ka
KHwabon ke dariche mein ho jaise koi chehra
yun dard nikharta hai sar-e-sham kisi ka
ghazlon pe bhi hota hai kisi shakl ka dhoka
taron ko bhi deta hun kabhi nam kisi ka
tariKH ke phaile hue safhat pe jaise
zaKHmon ki numaish hai faqat kaam kisi ka
hathon ki lakiren hain ye viran si rahen
sukhe hue patte hain ye anjam kisi ka
'jami' jo utar jae andheron ke badan mein
wo shoala-e-taKHliq hai inam kisi ka
(387) Peoples Rate This