Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin
jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin
sath apne bhi nahin aur parae bhi nahin
sina-e-saz mein wo git sulag uTThe hain
pyar ban kar jo lab-e-saz pe aae bhi nahin
zindagani to KHaridar-e-sitam hai lekin
tum ne bazar salibon ke sajae bhi nahin
kuchh irade mere giton ki thakan hain ab bhi
kuchh fasane teri aaankhon ne sunae bhi nahin
dhup sochon ke dar-o-baam tak aa pahunchi hai
aur aaise mein teri yaad ke sae bhi nahin
aarzuon ke umangon ke mazaron pe kahin
gham-e-ayyam ne do phul chaDhae bhi nahin
waqt ki rah mein anjaan nazar aate hain
warna ye log kuchh itne to parae bhi nahin
dur ke des ki pariyon ka bharosa kya tha
hum ne KHwabon ke nae dip jalae bhi nahin
zindagani ke hasin shahr mein aa kar 'jami'
zindagani se kahin hath milae bhi nahin
(544) Peoples Rate This