Ho Gaya Ab To KHayalon Ka Safar Bhi Dushwar
ho gaya ab to KHayalon ka safar bhi dushwar
dur tak rah mein hai KHud meri shohrat ka ghubar
apne KHwabon ko liye ghar se na bahar niklo
chaar-su shahr mein hai nachte shoalon ki qatar
barha nind se yun chaunk uTha hun jaise
mere bistar pe teri yaad hui hai bedar
main samajhta hun ki ab sirf kutub-KHanon mein
munh zamane se chhupae hue baiThi hai bahaar
ruh ke zaKHm ubharte hain sawalon ki tarah
main kahin teri KHudai se na kar dun inkar
tez-rau waqt ki aandhi mein kahan tak aaKHir
kaam aaegi umidon ki ye kachchi diwar
ek sailab-e-hawadis ka nishan hain 'jami'
aur kya hain mere likkhe hue sare ashaar
(378) Peoples Rate This