Har Ek Dard Ko Harf-e-ghazal Bana Dunga
har ek dard ko harf-e-ghazal bana dunga
chala to hun ki teri rahguzar dikha dunga
gham-e-hayat mere sath sath hi rahna
payambari se tera silsila mila dunga
agar wahan bhi teri aahaTen na sun paun
to aarzu ki hasin bastiyan jala dunga
na intizar na aahen na bhigti raaten
KHabar na thi ki tujhe is tarah bhula dunga
kuchh aur tirgi-e-sham-e-gham sahi 'jami'
kuchh aur apne charaghon ki lau baDha dunga
(315) Peoples Rate This