Qurb-e-qayamat
ye chiDiya jo pankhe se Takra gai hai
use to faqat aashiyana banane ki dhun thi
use waqt ki piTh se lakh do lakh salon ke girne ka andaza kab tha
use kya KHabar thi
wo sarsabz ayyam murjha chuke hain
wo insan se pahle ke shadab jangal
jahan ghonslon aur uDanon ke ma-bain
dhaton ki parran faslen nahin thin
uqabon ke par aaj bhi sarsaraen
to masum chiDiyon ke dil sahm jaen
magar un ko malum kya hai
ki qurb-e-qayamat ke aasar paida hain
be-jaan lohe ko par lag gae hain
(477) Peoples Rate This