Jast
mera haal ye tha
zamistan mein jab barf-zaron mein chalte hue
gurisna bheDiyon ki qataren guzartin
to mein kapkapata
ye ji chahta arsa-e-zist ko chhoD kar
kohsaron ke us par Dera laga lun
idhar mere jate hi barfen pighal jaen
gurgan-e-be-mehr mere nuqush-e-qadam sungh kar mujh tak aane na paen
magar ab to jaise
meri ruh mein koi chita sa angDaiyan le raha hai
ye ji chahta hai
ki gurg-e-ashti ki sabha jab lage
main bhi taswir jaisi khuli aankh le kar
jo hargiz jhapakti na ho
ghaar ke wast mein aan baiThun
aur un mein se jis jis ki aankhen jhapakti chali jaen
wo lahza lahza mera rizq ho
main use para-para karun
(492) Peoples Rate This