Faisla
ab ke diwar mein darwaza rakhun ya na rakhun
ajnabi phir na koi darpai-e-azar aa jae
ek dastak mein meri sari fasilen Dha jae
ab ke diwar mein darwaza rakkhun ya na rakhun
ek ahram na chun lun sifat-e-dud-e-harir
koi aae to bas ek gumbad-e-dar-basta mile
raaz-e-sar-basta mile
lakh sar phoDe sada koi na mujh tak pahunche
qasid-e-mauj-e-hawa koi na mujh tak pahunche
ab ke diwar mein darwaza rakkhun ya na rakhun
sare andeshe magar ek taraf
ek taraf teri ummid
jaane kis waqt idhar teri sawari aa jae
ajnabi lakh koi meri fasilen Dha jae
mujh ko diwar mein darwaza lagana hoga
(457) Peoples Rate This