Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c884464849afd4602d241edcbf2afcb9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Achanak Maut Ka Nauha - Khursheed Rizvi Poetry In English - Darsaal

Ek Achanak Maut Ka Nauha

ba-zahir ye lagta hai

us malgaji subh ko sab sahaaron ne jaise

achanak tera sath chhoDa

sahar ne zamin par qadam jab rakha

to achanak zamin bewafa ho gai

ubharta hua aaftab

ek hi na-gahan laghzish-e-pa se yun laDkhaDaya

ki maghrib ke patal mein munh ke bal ja samaya

achanak farishte kafan saeban ki tarah tan kar

aasmanon se utre

gulon ki mahak ki jagah dafatan bu-e-kafur ki sard-mehri ne le li

shajar ke badan se nai konpalon ki bajae KHizan phuT nikli

ba-zahir ye lagta hai

lekin bhala hadsa ek-dam kab hua hai

bahut din se is sar-ba-mahar aatishin raaz ka gung fita

KHamoshi se jalta chala ja raha tha

fana ke garajte hue aabshaaron ke upar tana

rassiyon ka ye pul

ek muddat se galta ja raha tha

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Achanak Maut Ka Nauha In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Ek Achanak Maut Ka Nauha is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Ek Achanak Maut Ka Nauha for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Ek Achanak Maut Ka Nauha in PDF.