Yun To Wo Shakl Kho Gai Gardish-e-mah-o-sal Mein
yun to wo shakl kho gai gardish-e-mah-o-sal mein
phul hai ek khila hua hashiya-e-KHayal mein
ab bhi wo ru-e-dil-nashin zard sahi hasin to hai
jaise jabin-e-aftab marhala-e-zawal mein
ab bhi wo mere ham-safar hain rawish-e-KHayal par
ab wo nasha hai hijr mein tha jo kabhi visal mein
un ke KHiram-e-naz ko bu-gul-o-saba kaha
hum ne misal di magar rang na tha misal mein
ahl-e-sitam ke dil mein hai kya mere karb ka hisab
un ko KHabar nahin ki main mast hun apne haal mein
kaisa pahaD ho gaya waqt guzarna mujhe
zaKHm pe jam gai nazar KHwahish-e-indimal mein
tu ne mere KHamir mein kitne tazad rakh diye
maut meri hayat mein naqs mere kamal mein
(686) Peoples Rate This