Subh Se Chaak Bhi Ho Daman-e-shab Zid Hai Use
subh se chaak bhi ho daman-e-shab zid hai use
ain matam mein saje bazm-e-tarab zid hai use
KHud har ek baat se waqif hai magar auron ko
kuchh nahin jaanne deta ye ajab zid hai use
us ko sab ek hai yun dard-o-sukun wasl-o-firaq
han magar meri tamanna ke sabab zid hai use
baat apnon ki pakaD le to kahan chhoDta hai
darguzar ghair se farmae to kab zid hai use
sar agar KHam hai to mahfuz KHam-e-tegh se hai
aur agar zer-e-sipar hai to ghazab zid hai use
sun ke qasid ne kaha meri dalilen 'KHurshid'
KHair pahle jo nahin bhi thi to ab zid hai use
(369) Peoples Rate This