PalaT Kar Ashk Su-e-chashm-e-tar Aata Nahin Hai
palaT kar ashk su-e-chashm-e-tar aata nahin hai
ye wo bhaTka musafir hai jo ghar aata nahin hai
qafas ab aashiyan hai KHak par likkhi hai rozi
kabhi dil mein KHayal-e-baal-o-par aata nahin hai
pahaDon ki siyahi se fuzun dil ki siyahi
wo husn ab apni aankhon ko nazar aata nahin hai
shajar barson se naqsh-e-raegan ban kar khaDe hain
koi mausam ho shaKHon mein samar aata nahin hai
mere is awwalin ashk-e-mohabbat par nazar kar
ye moti sip mein phir umr-bhar aata nahin hai
koi qatil rawan hai meri shiryanon mein 'KHurshid'
jo mujh ko qatl karta hai nazar aata nahin hai
(360) Peoples Rate This