Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ab49e0a5ef7ce0ca7d045dcdfa04cf72, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahin Bhi Maqam-e-sada-e-lab Nahin Aa Saka - Khursheed Rizvi Poetry In English - Darsaal

Kahin Bhi Maqam-e-sada-e-lab Nahin Aa Saka

kahin bhi maqam-e-sada-e-lab nahin aa saka

main teri sada-e-nigah pe kab nahin aa saka

tere hijr tere visal apne KHayal mein

kisi aaine mein main sab ka sab nahin aa saka

tere qurb mein mujhe maut yaad nahin rahi

wo sahar hui ki KHayal-e-shab nahin aa saka

jo tamam umr raha sabab ki talash mein

wo teri nigah mein be-sabab nahin aa saka

hui aise saya-e-rang mein meri tarbiyat

kabhi koi waswasa-e-tarab nahin aa saka

ye meri mata-e-giran hawa mein bikhar gai

mujhe apne soz-e-nihan ka Dhab nahin aa saka

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Bhi Maqam-e-sada-e-lab Nahin Aa Saka In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Kahin Bhi Maqam-e-sada-e-lab Nahin Aa Saka is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Kahin Bhi Maqam-e-sada-e-lab Nahin Aa Saka for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Kahin Bhi Maqam-e-sada-e-lab Nahin Aa Saka in PDF.