Bisat-e-waqt Pe Sadiyon Ke Fasle Hum Log
bisat-e-waqt pe sadiyon ke fasle hum log
kanar-e-sham-o-sahar mein kahan Dhale hum log
na karwan na musafir magar jaras na thami
na raushni na hararat magar jale hum log
maqam jin ka muarriKH ke hafize mein nahin
shikast o fath ke mabain marhale hum log
numud-e-jism ki shorida KHwahishen duniya
fishaar-e-ruh ke nadida walwale hum log
na jaane kab koi karwaT hamein jaga Dale
zamin ke batn mein KHwabida zalzale hum log
fasad-e-koh-kani hila-ha-e-parwezi
hazar rang ke kanTon mein aable hum log
amir-e-shahr ki moTi samajh mein kya aate
zamir-e-dahr ke nazuk muamle hum log
hujum-e-sang-e-aziyyat mein sar jhukae hue
rawan hain le ke mashiyyat ke qafile hum log
zaban-burida o be-dast-o-pa sahi lekin
zamir-e-kaun-o-makan hain bure bhale hum log
(409) Peoples Rate This